"Hasil Kyun Nahi"

                     "Hasil Kyun Nahi"


Tu parchaai si h meri fir har pal sath rehti kyun nahi
Mujhme shamil tu saans ki tarah tu mujhe hasil kyun nahi
Chaai rehti hai khayalon me mere badli ki tarah
Ruh banjar meri mujhe bhigati kyun nahi
Kho jata hun tujhme aankhe band karke
Machal jata hai jo dil tu aake behlati kyun nahi
Sard raaton me lipat jata hu khud se hi teri baahein samajh kar
Thehar hua h palko pe dariya tu bankar kashti mujhe taar jati kyun nahi
Humsafar na ban humraah na ban
Kuch pal hi sahi sath nibhati kyun nahi
Yun hi nazar bhar dekhta hun tasveer teri
Taras jata hun mai ruh tak tu nazar milati kyun nahi
Sukhe patto sa bikhar kar reh gaya hun mai
Tu aakar kisi bahane se mujhme simat jati kyun nahi


Comments

Post a Comment