CHHAT

 "Chhat (छत)"


Ye Chhat par aakar kuch aur bhi socha ja sakta hai
Kyun hamesa dusro ke sath hue manmutaav lekar hi aaye


Ye chhat par aakar kuch aur bhi dekha ja sakta hai
Kyun hmesa padosi ki khuli khidki me jhanka jaye


Ye chhat par aakar kuch naye ehsaas bhi jiye ja sakte hai
Kyun hmesha purano ko hi dohraya jaye


Ye chhat par aakar naye khel bhi khele ja skte hai
Kyun hmesha dusro ke jajbaato se hi khela jaye


Ye chhat par aakar muskurahat ke naye rishte bhi banaye ja sakte hai
Kyun hamesha kisi ke aansuon ka karan bana jaye


Ye chhat par aakar neel gagan me naye rang bhi bikhraye ja sakte hai
Kyun hmesha dusro ke hi rang me ranga jaye


Ye chhat par aakar naye khwaab bhi bune ja sakte hain

Kyun hamesha kisi aur ke hi khwaabon me din bitaye jaye

Ye chhat par aakar apna naya suraj bhi uga sakte hain
Kyun hamesha kisi aur ki zindagi se roshni churaai jaye











Comments

Post a Comment

Popular Posts